Celebrating the Beauty of Hindustan
“Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan Bohat dilkash, bada hi khushnuma har ek nazara hai, Khuda ne is zameen pe goya jannat ko utara hai. Zameen-e-Hind hai yeh jaan-o-dil ko is pe waraa hai, Lahu de kar ise seencha hai aur is ko nikhaara hai. Hamara hai yeh Hindustan hamara hai, Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai.” This powerful anthem celebrates the diverse beauty and unity of India, reflecting the pride and deep love for our homeland. Watch the full video and immerse yourself in this tribute to Hindustan.
Yeh Hindustan Hamara Hai Lyrics – Ammar Asad
Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Bohat dilkash, bada hi khushnuma har ek nazara hai
Khuda ne is zameen pe goya jannat ko utara hai
Zameen-e-Hind hai yeh jaan-o-dil ko is pe waraa hai
Lahu de kar ise seencha hai aur is ko nikhaara hai
Watan ka zarra zarra jaan-o-dil se hum ko pyara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Yeh Hindu ke liye Maata hai, isko mahaan kehte hain
Musalman juz-e-iman aur apni jaan kehte hain
Yeh Sikh ka dil hai, Isai bhi apna maan kehte hain
Isi chahat bhari mitti ko Hindustan kehte hain
Mohabbat ka nishan Hindustan dil ne pukara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Nadi, nale haseen jharne hain aur ooncha Himala hai
Yahan ka gosha gosha ek anokhi shaan wala hai
Bulandi par jo lehrata hai woh parcham nirala hai
Yeh azmat ka nishan apna Tiranga sabse aala hai
Hamara fakhr hai armaan hai, aankhon ka taara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Mukhalif se kaho khul ke woh karle jo bhi karna hai
Yahin paida huve hain hum, yahin pe hum ko marna hai
Ragon mein khoon-e-imani hai, phir kya hum ko darna hai
Hai jab tak jaan baaqi, haq ki khaatir hum ko ladhna hai
Watan pe aanch bhi aaye, humein yeh kab gawara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Fazaaon mein, hawaon mein, yahan chahat hi chahat hai
Na duniya mein kahin paaoge aisi is mein rahat hai
Luta dein jaan-o-tan, is khaak se aisi mohabbat hai
Sameen ke dil ki har dhadkan mein ulfat hai aqeedat hai
Hamara Hind hi saare jahaan mein sabse pyara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai yeh Hindustan hamara hai
Humein hai fakhr hum Hindi hain, Hindustan hamara hai
Hindustan
Hindustan
Hindustan
Hindustan
Discover more from Ammar Asad Official
Subscribe to get the latest posts sent to your email.