🕌 Title : Hasrat e Deedar e Nabi
🎤 Artists: Ammar
🎧 Audio: JAQ Studio
🎥 Video Editing: Abdul Waheed
✍️ Lyrics: Maulana Abu Jafar
🎬 Produced by: AL Majeed Production
🎙 Label: Ammar Asad Official
Step into a journey of love, devotion, and yearning with this heartfelt naat, beautifully sung by the mesmerizing voice of Ammar Asad. Filmed in the serene ambiance of the Heritage Village, surrounded by the timeless beauty of old Arab architecture and priceless antiques, this video captures the essence of a deep emotional connection to the beloved Prophet Muhammad (PBUH).
The soul-stirring lyrics, “Nabi Aapko Maine Dekha Nahi Hai,” express the indescribable love and longing for the Prophet (PBUH), even for those who never witnessed his time. The verses reflect a profound sense of devotion, humility, and hope, as they weave through moments of history, recounting the sacrifices of the companions and the timeless beauty of the Prophet’s (PBUH) legacy.
This unique naat video is not just a visual treat but a spiritual experience that resonates deeply with every listener. Let the melodious voice of Ammar and the captivating visuals transport you to a realm of peace, love, and spirituality.
✨ Highlights of the Video:
Shot at the breathtaking Heritage Village, showcasing the charm of old Arab culture.
Lyrics that touch the soul, narrating an eternal bond with the Prophet (PBUH).
A mesmerizing vocal performance by Ammar Asad, leaving hearts enchanted.
🔔 Don’t miss this heartfelt tribute. Watch, feel, and share this naat to spread the message of love for our beloved Prophet Muhammad (PBUH). Let the light of this naat illuminate your hearts and bring you closer to spirituality.
Salle Ala Sayyidna Muhammad Sallalahu Alaihi Wasallam! ❤️
Lyrics
Nabi Aapko Maine Dekha Nahi Hai
Nabi Aapko Maine Dekha Nahi Hai
Dekha Nahi Hai
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Nabi Ji Nabi Ji Pyare Nabi Ji
Nabi Ji Nabi Ji Pyare Nabi Ji
Haan Ye Baat Sach Hai, Haqeeqat Yehi Hai
Nabi Aapko Maine Dekha Nahi Hai
Na Daur e Muhammad Me Paida Hua Main
Na Saathi Safar Ka kabhi Ban Saka Main
Na Aaqa ki Awaaz Tak Sun Saka Main
Na Gazwaat Me Mushrikon Se Lada Main
Na Hijrat Ki Lazzat Huvi Mujh Ko Hasil
Na Ho Paya Ansaar Ki Saff Me Shamil
Nabi Aap Jis Dum Thay Ghaar e Hira Me
Koi Zaad e Rah Bhi Na Pahoncha Saka Main
Nabi Aap Jis Dum Thay Sor o Hira Me
Koi Zaad e Rah Bhi Na Pahoncha Saka Main
Magar Sach Hai Ye Bhai Qasam Hai Khuda KI
Mohabbat Mujhe Aapse Hai Nabi ji
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Mujhe Aapke Ghar se Dar se Mohbbat
Safar Se Mohabbat Hazar se Mohabbat
Mujhe Aapke Har Pahar se Mohabbat
Har ek Rastay Rah-guzar se Mohabbat
Woh iema e Shaqul Qamar Se Mohabbat
Zaqan se Dahan se Nazar se Mohabbat
Nabuwwat ki Jisne Gawahi Di Aaqa
Haan us Goh Se Us Hajar se Mohabbat
Yeh Bay Dhang si Meri Mohabbat ka Tohfa
Kiya Uski ijabat Ka Hai Koi Rasta
Kiya Uski ijabat Ka Hai Koi Rasta
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Na Bubakr sa Main Rafeeq e Safar Hoon
Na Usman o Haider Hoon Na Main Umar Hoon
Na Talha Na Hamza Sae’ed o Sa’ad Hoon
Anas Jaisa Khadim Na Khalid Asad Hoon
Na Main Ibn e A’ouf o Zubair o U’baida
Na Main BuDujana Ma’az o Qatadah
Na Arqam Na Akhnas, Bilal Aur Yahya
Na Misle Yasaar or Yasir Na Ya’la
Main in Sab ke Qadmon Ke Zarron Ka Zarra
Magar Aye Nabi Aapka Hoon Main Shayda
Magar Aye Nabi Aapka Hoon Main Shayda
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Khuda Ke Tawassut Se Hai Yeh Guzarish
Khatakar Aankhon Pay Ho Yeh Nawazish
Khatakar Aankhein Gunahgar Aankhein
Hain Deedar Ki Bas Talabgar Aankhein
Kabhi Khwab Mein Mere Bhi Aaye Na
Who Chehra Haseen Mujhko Dikhlaiye Na
I’nayat Ki Barsaat Barsaiye Na
Muqaddar Ko Mere Bhi Chamkaiye Na
Tamnna Hai Ja’far Ki Aajaaiye Na
Kabhi Khwab Mein Jalwa Farmaiye Na
Kabhi Khwab Mein Jalwa Farmaiye Na
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Salle Ala Sayyidna Sallalahu Alaihi Wasallam
Nabi Aapko Maine Dekha Nahi Hai
Nabi Aapko Maine Dekha Nahi Hai
Discover more from Ammar Asad Official
Subscribe to get the latest posts sent to your email.